Kuch Zikar Karo Us Mosam Ka Jab Rim Jhim Raat Raseeli Thi!
kuch zikar karo us mosam ka jab ram jham rat raseeli thi jab subha ka roop rupehla tha jab sham boht sharmeeli thi jab phool mehekti rahon per qadmon se gajar baj uthte they jab tan me sans ke sargam ki her deepak taan sureeli thi jab khawab sarab jazeeron me khush fehem nazar ghul jati thi jab piyar pawan ke jhonkon se har yad ki moj nasheeli thi amrat ki mehek thi baton me nafrat ke sharar thay palkon per wo hont nehayet meethay they wo aankh boht zehreeli thi mohsin us sheher me marne ko ab is ke siwa kuch yad nahin kuch zeher tha sheher ke pani me kuch khak ki rangat neeli thi More in Mohsin Naqvi